Wednesday, January 17, 2018

THE MAGIC OF NIGHT IN ZUBAIR RIZVI'S POEM..

                                                                               
THE MAGIC OF NIGHT IN ZUBAIR RIZVI'S POEM..

I add an urdu nazm of Zubair Rizvi... ....................................
................Freshness and Modernism in every line of zubair Rizvi ...

Raat sannaata Dar o Baam ke honton pe sukoot
Rahein Chupp- Chaap hain Pathar Ke buton ki Maanind
Roshini Taap mein Alsaai Huyii Baithi Hai
Neend Aankhon ke dareechon se lagi Baithi hai
Din ke hangaamon ki Raunaq ko Bujhe deir huyii
Chaand ko Nikle sitaaaron ko saje deir huyii
Ab kissi chashm e Nigah-daar ka khatraa bhi nahin
Waqt ke haath mein ab sang e malaamat Bhi Nahin
Dil Jo Machle to koyii toknay waala bhi Nahin
Jism Pighle to koyii Dekhne waala bhi Nahin
Aey Nigaar e Dilo Jaan Shauq ki Baahon mein machal
Saaya Saaya yuun hi Aagosh e chaman zaar mein chal
Din Sitam- pesha hai Raazon ko ughal Detaa hai
Raat Maasoom hai Raazon ko Chhuppa leiti hai…

( Autar Mota )



Creative Commons LicenseCHINAR SHADE by Autarmota is licensed under a Creative Commons Attribution-Noncommercial-No Derivative Works 2.5 India License.
Based on a work at http:\\autarmota.blogspot.com\.

No comments:

Post a Comment

Note: Only a member of this blog may post a comment.