THE LOSS....
My salute to Prof. waseem Barelavi (Born 1940) for writing this moving poem...
(Na aaye shahar Mein Aissi raat )
Phoolon jaisse rishtay chhoote
khushboo jaisse saath
Na Aaye shahar mein Aissi Raat…
Maa ki aankh ka tara khoyaa
Baap ka apna saaya
Ghar se nikla hi kyon thaa
Jo ghar ko laut na Paaya
Jeevan thehra haanpta panchhi
Maut ke lambe haath…..
…………………Na aaye shahar mein Aissi raat
Sannaate ka seena
cheer gayyi ek andhi goli
Behray huve barson ke rishtay
goongi pyaar ki boli
Kis ki jeet ka jashn manaayein
Aansoon ki Barsaat
………………………….Na Aaye shahar mein Aissi raat
Khoob huyi basti aur veeranon
mein aankh micholi
Khoob khili aur khoob hi kheli
sab ne khoon ki holi
Koyi sach bole to kahe
kyaa Aaya kis ke haath
…………………………………Na aaye shahr mein Aissi Raat..
(Autar Mota )
CHINAR SHADE by Autarmota is licensed under a Creative Commons Attribution-Noncommercial-No Derivative Works 2.5 India License.
Based on a work at http:\\autarmota.blogspot.com\.
No comments:
Post a Comment
Note: Only a member of this blog may post a comment.