Meer ke she'r ka ahvaal kahuun kya "Ghalib",
Jis ka Deewan kam az Gulshan e Kashmir Nahin..
( Mirza Ghalib on Kashmir )
DAL LAKE KASHMIR ..
( Photo Autar Mota )
To this photo , I am adding lines from an Urdu Poem titled “KASHMIR “ written by Mir Ghulam Rasool Nazki …
Yeh barf yeh kohsaar yeh vaadi yeh manaazir,
Chaandi ki angoothi mein hai zamrad ka nageena..
Yeh Barg e Gul o Laala pe shabnam hai Ke Jis se ,
Hooron Ki Jabeen pe hai Nadaamat ka paseena ..
Yeh laal O gulfaam hai ya jaam e labaa -Lubb,
Yeh Nargis e Makhmoor hai ya saagar o Meena..
Aey Zaahid e bad Zauq issi Khaak mein Mar jaa,
Iss khaak Mein Marnaa bhi Hai Firdaus mein Jeena..
Aey Noor e Nazar Dekh Ke Manzoor e Nazar hai ,
Saawan ka Maheena Ho Ke Phalgun Ka maheena …
Khaamosh parastaar huun mein husn e azal ka,
Aey jumbish e lub dil ka ulat-taa hai safeena.
Shaayar ke haseen Khwaab ki taabeer hai Kashmir,
Purkaar Mussavir ke takhayyul ki haseena..
( Autar Mota )
CHINAR SHADE by Autarmota is licensed under a Creative Commons Attribution-Noncommercial-No Derivative Works 2.5 India License.
Based on a work at http:\\autarmota.blogspot.com\.
No comments:
Post a Comment
Note: Only a member of this blog may post a comment.