Whosoever takes the first step
towards Peace and Friendship , He surely makes every sensible man on either
side of the border feel happy…
( News.. Indian Prime
Minister visits
Pakistan on a goodwill Mission
and Meets his counterpart )
Today Poet Ali Sardar jafri would
have again sung …
"Haathh Mein Haathh Liye Saara
Jahaan Saathh Liye
Tohfaa e Dard Liye Pyaar Ki
Saugaat Liye
Rahguzaaron Se Adaavat Ki Guzar
Jaayeingay
Khoon Ke Dariyaaon Se Hum Paar
Uttar Jaayeingay
Aur Phir Harf o Navaa KI Na
zaroorat Hogi
Nafrat Uth Jaayegi Mehmaan Mohhabat
Hogi
Guftagu Bandh Na ho
Baat se baat Chale
Subah Tak shaam e Mulaaqat Chale
Hum Pe hansti Huyi Ye Taaro Bhari
Raat Chale…"
( Ali Sardar jafri )
Or
“Khilengay Phool Bahut sarhad e
tamanaa par
Khabar na hogi yeh nargis hai kis
ke aankhon ki
Yeh Gul Hai kis-ki jabeen kis ka
lub hai yeh laala
Yeh shaakh kis ke jawaan baazuvon
ki Angadaai
Khudaa karay ki yeh shabanam yuun
hi baras-ti Rahay
Zameen hamesha lahoo ke liye
taras-ti Rahay ….
( Ali Sardar
jafri )
Or
Tum Aao gulshan
e Lahore se Chaman bardosh,
Hum aayein subah
e Banaras ki Roshini le kar,
Himalaya ki
havaaon ki taazigi le kar ,
Aur oss ke baad
ye poochhein ke kaun dushman hai?
( Ali Sardar Jafri )
( Autar Mota )
CHINAR SHADE by Autarmota is licensed under a Creative Commons Attribution-Noncommercial-No Derivative Works 2.5 India License.
Based on a work at http:\\autarmota.blogspot.com\.
No comments:
Post a Comment
Note: Only a member of this blog may post a comment.