(Photo by Avtar Mota ....A Kashmiri Pandit house in the ghost village Hall, Kashmir.)
I wrote this for 19th January..
(19th January)
Aaj ka din hai unn
Rishton naaton ke naam ,
Kitney saathi thay
Aur dost Humsaaya thay,
Jin se khela kiye thay chinaron taley ,
Jheel Baagon mein aur aabshaaron taley,
Eik zamaana guzar
hi chala hai magar ,
Unn ki koyi khabar
kuchh pataa bhi nahin,
Aaj ka din hi hai
unn buzurgon ke naam ,
Haspataalon mein jo
barf ki seeliyon pe rakhey gaye
Uth na paaye kabhi,
Ajnabi Shahar Mein
Aissi qatil garam thi
Vo loo Jo chali …
Aaj ka din hai unn
Bholi bhaali behan maaon ke naam ,
Jo darindo ke Panjon shikanjon se
Astitav Laaj garima sanbhaale huve
Bhaag aayi andheron mein sehmi huyi
Ajnabi shehron mein
Sar Chhupane ki manzilon ki taraf
Ja rahi raah pe jinka
Saanp se ,
Bichhuvon se bhi paala padaa ,
Khoob mehnga jinhe har nivaala padaa ,
Lekin har morr pe,
Raah ki aurr pe ,
Kabhi Seeta
Savitri ya Durga bani ,
Apni rasmon rivaajon ya maryaada ko
mushkilon mein pareshaaniyon mein bhi jo
ya bachaati chali
Ya nibhaati chali..
Aaj ka din hai aisse bachon ke naam
Jin ke hisse mein dhoop
Aayi nahin,
Jin ke narm o nazuk hathon
Nanhe kaandhon par
Bojh itna padaa
Nazrein jhuukk hi gayeen
aur na dekha kabhi
Phool ko
jheel ko
Neele aakash ko ..
Rajneeti ke madaari
ye sun lein zaraa,
Jo dukaanein chaltein hain
Inn ke dard aur zakhmon ko bech Kar
' Vo Jo ghar se nikaale gaye thay kabhi ,
Zakhm unn ke abhi bhi
na bhar paaye hain,
Din abhi tak na unn ke
sanvar paaye hain,
Zakhm par
Sabz baagon ka
haseen khwaab ka ,
Jhootha marham hi lepa gaya aaj tak
Tees barson se sirf unn-ko behlaaya hai
Jhoothe vaadon se hi sirf sahlaaya hai ……..'
( Avtar Mota )
CHINAR SHADE by Autarmota is licensed under a Creative Commons Attribution-Noncommercial-No Derivative Works 2.5 India License.
Based on a work at http:\\autarmota.blogspot.com\.
No comments:
Post a Comment
Note: Only a member of this blog may post a comment.