Tuesday, October 7, 2014

WHEN URDU POET LATE MAKHDOOM MOHI UD DIN WROTE A TOUCHING POEM ON KASHMIR


                                                                                    




A SMILING PHOTOGRAPH OF LATE MAKHDOOM MOHI UD DIN

( NOTED URDU POET AND A TELENGANA /  COMMUNIST  LEADER )

In their poetic compositions, Almost all Urdu poets have focused on the natural beauty of kashmir . They have written about its Water falls , rivers , seasons , gardens , flowers , Lakes , fruits , Tress and other objets that please the naked eye. A few of them were also moved by the poverty and living conditions of the inhabitants of this beautiful valley . And Makhdoom is one such poet .

 Makhdoom visited kashmir possibly thrice .  His last visit was  during the summer season of 1969 . After his  first visit to kashmir , Makhdoom Mohi Ud Din wrote a matchless Blank verse ..I add the poem to his photograph…..

Raah mein Sarv Milay,
Raah mein Shamshaad milay ,
Sab Giriftaar e Chaman ..

Shaam e Gulmarg Millli,
Subh e Pahalghaam Mili ..
Raah Mein Hanstay Rahay Laal o Nasreen o saman ,
Gungunaatay huve phoolon ke Badan Miltay Rahay ..
Dil Ki afsurdaa kali,
Aaissi Vaadi Mein aa kar Bhi Na khilli ..
Dil Ke Khush Honay Ka samaan ,
Gul O Laal o Nasreen o Saman …

Jhaadiyaan Dard Ki ,
Dukh ke jungle ,
Nadiyaan,
Jin Mein Bahaa kartay hain dil ke Naasoor ,
Koh e Gham,
Naag Ki Maanind Siyaah Phunn Kholay
Har Guzargaah ko Jaatay hain….

Raat Hi Raat hai Sanaata Hi Sanaata hai ,
Koyee saahil Bhi Nahin ,
Koyee kinaara Bhi Nahin,
Koyee Jugnoo Bhi Nahin ,
Koyee sitara Bhi Nahin …..

Meri Iss Vaadiy e Farda ke Khush Par taayir,
Yeh Andhera Hi Teri Raahguzar ,
Iss Faza mein koyee darwazaa Na Dehleez na dhar ,
Teri Parwaaz hi Ban Jaati hai samaan e safar ,
Daaman e koh mein soyee Nazar Aati hai ,
Teray Khwaab ki Zareen sahar ……..

( Autar Mota )

Creative Commons LicenseCHINAR SHADE by Autarmota is licensed under a Creative Commons Attribution-Noncommercial-No Derivative Works 2.5 India License.
Based on a work at http:\\autarmota.blogspot.com\.

No comments:

Post a Comment

Note: Only a member of this blog may post a comment.