O PEACE AND LIGHT ! WHERE ARE YOU? VISIT THIS
TOWNSHIP OF PAIN..
To the above thought and photo , I add my Poem ……Aey
Andheron Ke shahar …( O My City of Darkness )
( Aey Andheron Ke Shahar )
Hum Jo
Bhikhre Thhay Taptay sehraa mein
Loo ke mausam mein thhay sharaaron par
So gaye Baarha Thakkay Haare
Sard Raaton mein
Raahguzaaron par
Ab
Rahe Teen Mein Na Teraah Mein
In Andheron ka Ab to Khauff Nahin
Ab Safar hi hai Ghar - Makaan Apnaa
Koyee Kaandhaa Mila jo Rone
Ko
Bhool Jaatein hain Hum pe jo Guzri
Khul Ke Kyaa Bolna Hai Yaad
Nahin
Baat Lekin
yeh Tujh se Khul ke kahein
Dard mein Teray Beqaraari
hai
Har Garri dil Yehi Dua hai Karay
“ Aey Meray Shahar Tu Abaad
Rahey
Mausamon Ki Mehar Rahay Har
Saal
Teray Baagon Mein Parindein
Ho Sadaa
Bastiyon mein Teri Ujaala Rahey
Meetha Amrit sada Machaltaa
Rahey
Teri Jheelon Mein Aabshaaron
mein
Ghonslay Pyaar Ke Aabaad rahein
Inn safedon Mein In
Chinaaron mein
Har Choraahe mein Basti
kooche Mein
Zindagi laut ke har Pal yeh
Kahay
“Pyaar Ka jashn Manaana Hai Ab
Har Andhere Ko Mitaana Hai Ab”
( Autar Mota )
CHINAR SHADE by Autarmota is licensed under a Creative Commons Attribution-Noncommercial-No Derivative Works 2.5 India License.
Based on a work at http:\\autarmota.blogspot.com\.
No comments:
Post a Comment
Note: Only a member of this blog may post a comment.