ONE PAISA COPPER COIN...
(Autar Mota)
I am adding select lines from kaifi Azmi's poem Daayara ( Circle) to this photo....
Ro'z barrtaa huun jahaan se Aagay
Phir Vaheen laut ke Aa Jaata huun.....
Baarhaa taurr chukaa huun jin ko
Inheee deewaron se takraata huun.......
Koyee kehtaa thhaa samandhar huun me
Par meri jeib mein qatraa bhi nahin.....
Khairiyat apni likhaa kartaa huun
Ab to taqdeer mein khatraa bhi nahin....
Nabz bujhtii hai bharrakti bhi hai
Dil ka maamool hai Ghabraana bhi....
Raat andhere ne andhere se kahaa
Eik Aadat hai jiye Jaana bhi......
Ram kab Aayeingay maaloom nahin
Kaash Raawan hi koyee aa jaata........
Ro'z barrtaa huun jahaan se Aagay
Phir Vaheen laut ke aa jaata huun........
(Autar Mota)
CHINAR SHADE by Autarmota is licensed under a Creative Commons Attribution-Noncommercial-No Derivative Works 2.5 India License.
Based on a work at http:\\autarmota.blogspot.com\.
No comments:
Post a Comment
Note: Only a member of this blog may post a comment.