THE DESTINATION IS UNDER DARKNESS AND THE PATHS ARE DESERTED
JHELUM BUND SRINAGAR , KASHMIR
Photo Avtar Mota..
To this Photo i am adding my Urdu Poem HAMAARA SHEHAR ( Our City ).
Hamaara shehar
( our City )
Manzilein Ghumm hain
Raastey Sooney
Naa Koyee Yaar Naa
Sukhan Naa khuloos
Kab Hansey Thhay
hamein to yaad Nahin
Koyee Kaandhaa nahin
hai Ronay ko
Shaam Se hi Gharon ke
Bandh kiwaad
Zindagi Ghutt Gayee
hai kamron mein.
Woh Parindey Woh
Pyaar ke Raahi
Shehar Ko Jin Pe Naaz
Thaa kal Tak
Aaj Jaane Kahaan
Bhataktey hain
Ya issi Shehar mein
hain Chupp Bebas
Apne Khwaabon mein
rang Bhartein hain.
Khwaab woh Hain Ki
Sunaaye Na Baney
Dard Woh hai ki
Dikhaaye Na baney
Fir Bhi Har waqt Yeh
Dua Woh Karein
" Aey Mere
Shehar Tuu Aabaad rahay
Mausamon ki Mehar
rahay har saal
Tere Baagon mein
Parindey hon sadaa
Teri Jheelon mein
Aabshaaron mein
Inn safedon mein in
Chinaron mein
Har Choraahey mein
basti koochey mein
Zindagi Laut ke har
pal Yeh kahey
Pyaar Ka Jashn
Manaana Hai Ab
Har Andhere ko
Mitaana Hai Ab”"
(Avtar
Mota ) CHINAR SHADE by Autarmota is licensed under a Creative Commons Attribution-Noncommercial-No Derivative Works 2.5 India License.
Based on a work at http:\\autarmota.blogspot.com\.
No comments:
Post a Comment
Note: Only a member of this blog may post a comment.