SANTORINI (GREECE ) IN MOONLIGHT...
( Photo sandeep Mota )
To these photographs , i add lines from a long poem of Urdu poet Ali sardar jafri...
Hai Raat Ki Raahon Mein
Taaron Ka safar Jaari..
Aur Baad e Biyabaani
Sarmast o gazal Khwaan hai
Har Zarre ke seene mein
Ek Sham e Farozaan hai
Har Khaar Ke naize pe
Khwaabon ka Gulistaan hai ….
Taaron Ka safar Jaari..
Aur Baad e Biyabaani
Sarmast o gazal Khwaan hai
Har Zarre ke seene mein
Ek Sham e Farozaan hai
Har Khaar Ke naize pe
Khwaabon ka Gulistaan hai ….
Sadh kaafila Pinhaa Hai
Sadh Kaafila Paidaa hai
Awaaz e jaras lekin
Iss Dasht mein Tanhaa hai
Sadiyon se issi Surat
Hai Hukme safar Jaari
Farmaan e Sitam jaari
Elaan e karam Jaari……….
Sadh Kaafila Paidaa hai
Awaaz e jaras lekin
Iss Dasht mein Tanhaa hai
Sadiyon se issi Surat
Hai Hukme safar Jaari
Farmaan e Sitam jaari
Elaan e karam Jaari……….
Kal Subah ke daaman mein
Tum Hogay na hum hongay
Buss Reit Ke seene par
Kuchh Naqshe Qadam hongay
Saaye mein darakhton ke
Phir log baham Hongay
Kiss Des se Aaye ho
Kis Des ko jaana hai
Aey waqt Ke mehmaanon
Aey shamm e Tamanna par
Jaltay huve Parwaanon
Aey Sokhta Samaanon…
Tum Hogay na hum hongay
Buss Reit Ke seene par
Kuchh Naqshe Qadam hongay
Saaye mein darakhton ke
Phir log baham Hongay
Kiss Des se Aaye ho
Kis Des ko jaana hai
Aey waqt Ke mehmaanon
Aey shamm e Tamanna par
Jaltay huve Parwaanon
Aey Sokhta Samaanon…
( Autar Mota )
CHINAR SHADE by Autarmota is licensed under a Creative Commons Attribution-Noncommercial-No Derivative Works 2.5 India License.
Based on a work at http:\\autarmota.blogspot.com\.
No comments:
Post a Comment
Note: Only a member of this blog may post a comment.