Not many people know that Naushad Ali ( popularly known as NAUSHAD in Hindi film World) was also an accomplished urdu poet.He published a book of Urdu poetry titled " Aathwaan Sur "("The Eighth Note").I quote his couplets........
(1)
Aabadiyon mein Dasht Ka Manzar Bhi aayegaa,
Guzrogay shahar se To Mera ghar Bhi aayegaa
Achhi Nahin Nazaakat e Ahsaas Iss Qadar ,
Sheesha agar Banogay to Pather bhi Aayegaa...
(2)
Abhi Saaz e Dil Mein Taraane bahut Hain
Abhi Zindagi ke Bahaane Bahut hain
Teray Dhar Se Baahar Bhi Duniya Parri hai,
Kahin Ja Raheigay Thikaane Bahut Hain.
Hain Din Bad- Mazaaqi ke Naushad Lekin ,
Abhi Teray Funn Ke Deewane Bahut Hain
(3)
Hum Doston ke Lutf o Karam Dekhtay Rahe..
Hotay Rahe Jo Dil Pe sitam Dekhtay Rahe ..
Har shaam Ek Khwaab Sehar mein Guzar gayee ,
Har subh ek Shaam e alam Dekhte Rahe ..
Khaamosh Qahqahon mein Bhi Gham Dekhtay Rahe..
Duniya na dekh Paaayi Jo Hum Dekhtay Rahe .
(4)
sab Kuchh Sare Bazaar e Jahaan chorr Gayaa hai ..
Yeh Kaun Khuli Apni Dukaan Chorr gaya Hai ..
Sau Qaafile Iss Raah se aaye Bhi gaye Bhi ,
Ab Tak Me Vahin Huun Vo Jahaan Chorr gayaa hai
(5)
Eik Be Qaraar dil se Mulaqaat Keejiye
Jab Mil Gaye Hain Aap To Phir Baat Keejiye .
Nazron se guftagu Ki Hadein Khatm Ho Chukeen
Jo Dil Mein Hai Zubaan se Vohee Baat Keejiye
(6)
Na Mandir Mein sanam Hotay na Masjid Mein Khudaa hota
Hameeen Se Ye tamaasha Hai Na Hum Hotay To Kyaa Hota
Zamaane Ko to Bus Mashq e sitam se Lutf lena hai ,
Nishaane par na hum Hotay to koyee doosara hota...
( Autar Mota )
Based on a work at http:\\autarmota.blogspot.com\.
No comments:
Post a Comment
Note: Only a member of this blog may post a comment.