MY LONELINESS IS SPREAD EVERYWHERE...
To this photo , I add lines from 'Soonapan ' a Hindi poem written by my favourite Mahadevi Verma ....
Uss ki khoyi si chaahon mein
Ghut kar mook huyi aahon mein
Uss ki sirhaayi kampan mein
Kirnon ke pyaase chumban mein
Jaane kis beete jeevan ka
sandesha de mandh sameeran
Chhoo deta apne pankhon se
murjhaaye phoolon ka lochan
Unke pheeke muskaane mein
Phir alsaakar gir jaane mein
Aankhon ki Neerav biksha mein
Aansoo ke mit-tey daagon mein
Honthon ki hansti peeda mein
Aahon ke bikhre tyagon mein
Kan kan mein bikhra hai nirmam !
Meray maanas ka soonapan.....
(Avtar Mota)
CHINAR SHADE by Autarmota is licensed under a Creative Commons Attribution-Noncommercial-No Derivative Works 2.5 India License.
Based on a work at http:\\autarmota.blogspot.com\.
No comments:
Post a Comment
Note: Only a member of this blog may post a comment.