Tuesday, July 30, 2019

A PAGE FOM MY DIARY YEAR 2014 ...DADAR MUMBAI

                           
DADAR  KABUTR -KHAANA  MUMBAI  AND  A PAGE FROM  MY DIARY  YEAR 2014..

To this photo , i add a brief anecdote  based on my  visit  to Mumbai in July 2014. 

In Dadar west ( Mumbai  ), I went to a shop to buy water  connecting pipe for an automatic  IFB  washing machine . I also asked  for services of  some plumber or technical person  who could fit the pipe to the Machine . Another customer  with a fair complexion , who had come to buy some  sockets  , suggested that I should   do the needful   myself as  it was very difficult to get a plumber for such minor issues  and then he would charge an amount that would be more than the cost of the pipe.  I said fine  and thanked the person. He then looked at me and said
“ Kashmiri  ho ? ”

" Haan ! Aap Ko Kaisay Pataa chalaa ? ”

“  Aap baar baar poochh rahay thhay ' mein lagaa saktaa huun? ' Aur aap Ke baat karne ke lehaje  se  bhi .  Kashmiri thhoday vehmi hotain hain. Mera naam Abdul  Qadir Kashmiri  hai . Mein Dadar mein rehtaa huun . Agar pipe fit na huyee to mujhe telephone karnaa mein plumber bheij doonga . Yeh mera card hai . Naye aaye ho ? Koyee pareshaani  to nahin ?”

“ Nahin ! Nahin ! Lekin ????? “ I now read the card .

     ABDUL  QADIR  KASHMIRI 
( CONTACTRACTOR   AND TRANSPORTER   )

“ Haan ! Haan ! Mere vaalid sahib bhi Kashmir  se thhay . Baramulla naam se koyee jagah hai . Mein to kabhi nahin gaya  lekin bahut shauq hai jaane ka. ”

“ To jaaiye na kabhi ? Aisi koyee baat nahin hai . ”

 We came out  of the shop and he continued ..

“Meray vaalid sahib filmon mein  kaam karney ke liye Mumbai  aaye thhay . Yahaan sab ko to  kaam  nahin miltaa , lekin unnhon ne  extra artists supply karne ka contract le liya . Kaam chal gayaa.  Aap Pandit ho ?”

 “ Haan ! Kaise pataa chalaa ? ”

“ Milaa huun ek Kashmiri  pandit bachey se.  Kabhi kabhi haal poochhaney aa jaata hai . Engineer hai . Dadar East  mein hamaara humsaaya hai . Kiraaye ke ghar mein rehtaa hai bichaara .  Nihaayat hi tameez wala aur nek  bachaa hai  .Allah uss ko salaamat rakhay  . Ek din ghar se Gosht ka Rogan Josh banaa ke laaya thhaa jo uss ki vaalida ne banaaya thhaa  hamaare liye .Hum to uss ke karazdaar ho gaye hain.    Meray  vaalid sahib ke   khaas dost  bhi ek do Pandit thhay . ”

 “Kaun se ? Kyaa naam thhaa ? ”

  “  Meray vaalid sahib ke saathh   ek aur kashmiri bhi  issi  kaam mein thhay  ASIF  KASHMIRI  . Ek kashmiri  pandit  bhi Hero bananey  aaye  thhay aur issi kaam mein lag  gaye.  Naam thhaa HARI KASHMIRI.  HARI  KASHMIRI  ka asli naam Hari kishen  Bumzayee ( Bamzai ) thha. Vaalid sahib kehtay thhay ki  woh  srinagar  shahar  ka  rehne waale  hain ..Meray vaalid Hari kashmiri ke  khaas dost thhay....   Aap bachey  ke paas aaye ho kyaa ? ”

“ Haan !  Lekin aap ke vaalida ???”

“ Meri vaalida Maharashtra se thhi  aur meray vaalid kashmir se thhay . Ab hum yaheen ke ho gaye hain . Dadar East mein vaalid sahib ne makaan banaaya  thha . Mera  kaam Transport ka hai . Vaise  Bhi ab dheere dheere kaam kam kar rahaa huun . Sehat bhi theek nahin hai . Ab do roti ki zaroorat hai aur ek  BP tablet ki . Shukar hai Allah Ka . ”

“ Aap ke  bachey ????? ”

“ Haan ! Haan ! Mein shadi shudaa hunn . Meri Biwi Konkani hai . Do bache hain. Allah ke fazal se donon apni  rozi roti  kamaa  rahein hain . Donon  engineer hain. Ek Dubai mein hai aur doosara England mein hai .   Donon ki shaadi huyee hai . Bahut shauq  thha ek ki shaadi kissi  kashmiri ladki se  karney ka . Lekin donon ne apni marzi se shaadi ki hai . Khush hain aur hum bhi issi mein khush hain.Hum miyan biwi hi yahaan rehtey  hain .  ”

“  Iss duniyaa mein Sab Ka yahee haal hai . Aap akelay nahin hain  ”

“  Haan ! Jaantaa huun , Khair  , Allah ka shukr hai ki aaj apney ajdaadon ke wattan ke kissi  ko dekha  . Mera number hai card mein . Zaroorat pade to zaroor baat karnaa. Mujhe intehaayi  khushi  hogi . Allah  salaamat rakhey .”

( Avtar Mota 28.07.2014 )

Creative Commons License
CHINAR SHADE by Autarmota is licensed under a Creative Commons Attribution-Noncommercial-No Derivative Works 2.5 India License.
Based on a work at http:\\autarmota.blogspot.com\.

No comments:

Post a Comment

Note: Only a member of this blog may post a comment.