Tuesday, August 26, 2014

TWO FATHERS , TWO SONS OR FOUR URDU POETS FROM TWO FAMILIES PRAISE THE BEAUTY OF KASHMIR



                                                                            




INSIDE MANASBAL LAKE GARDEN OF KASHMIR

( Photo Autar Mota )

To this photo I am adding something as under …

Amongst the lovers of Kashmir , I find two families of urdu poets where both father and son have written some finest poems on kashmir .
In this group I include Triloke Chand Mehroom ( 1887 -1966) and his illustrious son Prof Jagan Nath Azad( 1918-2004 ). I also include Pandit Labhu Ram Josh Malsiyani( 1883-1976 ) and his son Balmukand Arsh Malsiyani (1908-1979 ). All the four poets were lovers of Kashmir .I quote a sample from their Kashmir poems ..
(1 )
TRILOKE CHAND MEHROOM

“ Tu Reshmi Doshaale Duniya ko de Rahaa hai ,
Tera Jamaal rangeen Rakhshaan hai cheethhadon mein ,
Daur e Khizaan Bhi Tera hai rashq e sadh Bahaaraan,

Aey vaadi e Gul Afshaan……………..

Duniya ke Ahle imaan kehtain hain jis ko jannat ,
Sharmindaa ho ke tujh se Rooposh ho gayee hai,
Varnaa kahin to hotay Aasaar Bagh e Rizwaan,

Aey vaadi e Gul Afshaan……………..
(2)

JAGAN NATH AZAD

“Hasrat” ho ki “Mehjoor” o “Ghani “ ho ki ho “Iqbal”
Tere Qalam e Kaif ki eik shokhiye tehreer
Aey Vaadi e kashmir

“Saproo ”ki zubaan tere tammadhun ka namoona
“Mulla” ka sukhan Teri Havaaon ki hai Taseer
Aey Vaadi e kashmir

Jo dal pe chamaktaa hai Pahaadon se ubhar kar
Bun Ja ussi Khursheed e Jahaan Taab ki Tanveer
Aey Vaadi e Kashmir…….

Tehzeeb ke Chehrey pe bhi tabaan hai tera noor
Fitrat ke manaazir hi nahin hain teri Tasveer
Aey Vaadi e Kashmir…..
(3)
PANDIT LABHU RAM JOSH MALSIYAANI

Aey Tamaashaayi Bahut Kuchh tuune ki sair e jahaan ,
Ab zaraa Kashmir mein Aa ke Nayaa Kashmir dekh..
Sohbat e sheikh o Brahmin par nazar kar Gaur se ,
Aarti ko hum-navaa e Naara e Taqbeer dekh ….
Tuune har Taameer mein Takhreeb dekhi hai magar ,
Aey Tamaashaayi Yahaan Takhreeb mein Taameer dekh…..

(4)
BALMUKAND ARSH MALSIYAANI

Chashm e Shaahi ho Woh ya Bagh e shaalimaar ho ,
Khaas hai har faiz Qudrat ka mere Kashmir mein..
Ishq hai Mahv e tarranum Husn Hai Masroof e Raqs ,
Khushnumaa Kitnaa hai ye Naqshaa mere Kashmir mein..
Zindagi Bhi Hai Mohabbat bhi hai ahle dil bhi hain,
Kyaa Bataaoon Me Ke hai Kyaa Kyaa mere Kashmir mein……



Further , I  also add Some lines from Urdu poem" Bahaaron ka des -Kashmir " by Arsh Malsiyani...


Dar haqeeqat hai firdaus roo e zameen
Intekhaab e jahaaan ye bahaaron Ka des.
Laalakari hai fitrat ki har Bagh mein
Ye haseen des hai lalaazaaron Ka des
Roo e Dariya pe ikk tairati Zindagi
Kashtiyon house-boton shikaaron Ka des.
Cheerr Kail aur akhrot ki sarzameen
Devdàron safedon Chinaron Ka des
Ab to Jaata hai Leh tak Hawai jahaaz
Ab nahin ye khyaali gubaaron ka des
 
Arsh was a well known Urdu poet of the subcontinent. He has published many poetic collections apart from participating in many All India and Indo- Pak Mushiaras. He joined as assistant editor of publication Division's magazine Aajkal in 1948. The editor of this magazine happened to be poet Josh Malihabadi . Josh migrated to Pakistan in1956 whereafter ,Arsh Malsiyani became it's editor. He retired from this job in 1968.


( Avtar Mota )




Creative Commons License

CHINAR SHADE by Autarmota is licensed under a Creative Commons Attribution-Noncommercial-No Derivative Works 2.5 India License.
Based on a work at http:\\autarmota.blogspot.com\.

No comments:

Post a Comment

Note: Only a member of this blog may post a comment.