DADAR KABUTR -KHAANA MUMBAI AND A PAGE FROM MY DIARY YEAR 2014..
To this photo , i add a brief anecdote based on my visit to Mumbai in July 2014.
In Dadar west ( Mumbai ), I went to a shop to buy water connecting pipe for an automatic IFB washing machine . I also asked for services of some plumber or technical person who could fit the pipe to the Machine . Another customer with a fair complexion , who had come to buy some sockets , suggested that I should do the needful myself as it was very difficult to get a plumber for such minor issues and then he would charge an amount that would be more than the cost of the pipe. I said fine and thanked the person. He then looked at me and said
“ Kashmiri ho ? ”
" Haan ! Aap Ko Kaisay Pataa chalaa ? ”
“ Aap baar baar poochh rahay thhay ' mein lagaa saktaa huun? ' Aur aap Ke baat karne ke lehaje se bhi . Kashmiri thhoday vehmi hotain hain. Mera naam Abdul Qadir Kashmiri hai . Mein Dadar mein rehtaa huun . Agar pipe fit na huyee to mujhe telephone karnaa mein plumber bheij doonga . Yeh mera card hai . Naye aaye ho ? Koyee pareshaani to nahin ?”
“ Nahin ! Nahin ! Lekin ????? “ I now read the card .
ABDUL QADIR KASHMIRI
( CONTACTRACTOR AND TRANSPORTER )
“ Haan ! Haan ! Mere vaalid sahib bhi Kashmir se thhay . Baramulla naam se koyee jagah hai . Mein to kabhi nahin gaya lekin bahut shauq hai jaane ka. ”
“ To jaaiye na kabhi ? Aisi koyee baat nahin hai . ”
We came out of the shop and he continued ..
“Meray vaalid sahib filmon mein kaam karney ke liye Mumbai aaye thhay . Yahaan sab ko to kaam nahin miltaa , lekin unnhon ne extra artists supply karne ka contract le liya . Kaam chal gayaa. Aap Pandit ho ?”
“ Haan ! Kaise pataa chalaa ? ”
“ Milaa huun ek Kashmiri pandit bachey se. Kabhi kabhi haal poochhaney aa jaata hai . Engineer hai . Dadar East mein hamaara humsaaya hai . Kiraaye ke ghar mein rehtaa hai bichaara . Nihaayat hi tameez wala aur nek bachaa hai .Allah uss ko salaamat rakhay . Ek din ghar se Gosht ka Rogan Josh banaa ke laaya thhaa jo uss ki vaalida ne banaaya thhaa hamaare liye .Hum to uss ke karazdaar ho gaye hain. Meray vaalid sahib ke khaas dost bhi ek do Pandit thhay . ”
“Kaun se ? Kyaa naam thhaa ? ”
“ Meray vaalid sahib ke saathh ek aur kashmiri bhi issi kaam mein thhay ASIF KASHMIRI . Ek kashmiri pandit bhi Hero bananey aaye thhay aur issi kaam mein lag gaye. Naam thhaa HARI KASHMIRI. HARI KASHMIRI ka asli naam Hari kishen Bumzayee ( Bamzai ) thha. Vaalid sahib kehtay thhay ki woh srinagar shahar ka rehne waale hain ..Meray vaalid Hari kashmiri ke khaas dost thhay.... Aap bachey ke paas aaye ho kyaa ? ”
“ Haan ! Lekin aap ke vaalida ???”
“ Meri vaalida Maharashtra se thhi aur meray vaalid kashmir se thhay . Ab hum yaheen ke ho gaye hain . Dadar East mein vaalid sahib ne makaan banaaya thha . Mera kaam Transport ka hai . Vaise Bhi ab dheere dheere kaam kam kar rahaa huun . Sehat bhi theek nahin hai . Ab do roti ki zaroorat hai aur ek BP tablet ki . Shukar hai Allah Ka . ”
“ Aap ke bachey ????? ”
“ Haan ! Haan ! Mein shadi shudaa hunn . Meri Biwi Konkani hai . Do bache hain. Allah ke fazal se donon apni rozi roti kamaa rahein hain . Donon engineer hain. Ek Dubai mein hai aur doosara England mein hai . Donon ki shaadi huyee hai . Bahut shauq thha ek ki shaadi kissi kashmiri ladki se karney ka . Lekin donon ne apni marzi se shaadi ki hai . Khush hain aur hum bhi issi mein khush hain.Hum miyan biwi hi yahaan rehtey hain . ”
“ Iss duniyaa mein Sab Ka yahee haal hai . Aap akelay nahin hain ”
“ Haan ! Jaantaa huun , Khair , Allah ka shukr hai ki aaj apney ajdaadon ke wattan ke kissi ko dekha . Mera number hai card mein . Zaroorat pade to zaroor baat karnaa. Mujhe intehaayi khushi hogi . Allah salaamat rakhey .”
( Avtar Mota 28.07.2014 )
CHINAR SHADE by Autarmota is licensed under a Creative Commons Attribution-Noncommercial-No Derivative Works 2.5 India License.
Based on a work at http:\\autarmota.blogspot.com\.
No comments:
Post a Comment
Note: Only a member of this blog may post a comment.