Monday, October 10, 2011

THREE PHOTOGRAPHS OF KASHMIR AND A POEM HAR BAAR PALAT KE LAUT AAYAA.







                   
(Photo No 1 is Harwan Garden of kashmir. Photo No 2 is a stone cutter's  workshop at Athwajan srinagar  while photo No 3 is the Badaam Vaari Garden of srinagar  in July 2011. )  To these photographs i add my Poem " Har Baar Palat kar laut Aayaa "



(Har Baar Palat kar laut Aayaa.)

Behtay Paani Si Bheed Ravaan ,
Paani pe kahaani likh Aayaa.
Dastak To Di har baar Magar
Kab Darwaaze par woh Aayaa.
Sunsaan Huyee Jab gali sadak
Chup Chaap Khadaa me Phir Bhi Thaa .
Naa dhar woh Khulaa
Naa Koyee Milaa
Har Baar Palat kar laut Aayaa….

Maangi jo bheekh kabhi dil ne,
Me woh bhi jag mein baant Aayaa.
Lekin Jab Pyaas thi Aan Basee,
Naa boondh Mili Naa Thhaa saaya .
Phoolon Kaa gilaa Kis Moonh se karey
Pather naa Milaa jis Ko Tum Se.
Aasha ki Kiran ,
Ban Gayee thhakan .
Yeh Muft thhakan Me Ghar laaya…

Har Baar lagaa Ab hai Manzil ,
Maine bhi sajaa Li Thhi mehfil
Jagmag akaash Umeedon Ka
Har Lehjaa apnaa Daryaa- Dil
Lekin Yeh Vehm o Gumaan Hi Thaa
Rastaa apna Phir tang Huvaa .
Badal garjaa
Paani barsaa
Beh Gayaa Sametaa Sarmaaya …



( Autar Mota )                                                        


Creative Commons License

CHINAR SHADE
by Autarmota is licensed under a Creative Commons Attribution-Noncommercial-No Derivative Works 2.5 India License.
Based on a work at http:\\autarmota.blogspot.com\.

0 comments:

Post a Comment