Tum se berangi-e-hasti kaa gilaa karanaa thaa
Dil pe anbaar hai Khuunghashtaa tamannaaon kaa
Aaj Toote hue taaron kaa Khayaal aayaa hai
Ek melaa hai pareshaan si ummeedon kaa
Chand pazmurdaa bahaaron kaa Khayaal aayaa hai
Paanv thak thak ke rah jaate hain maayuusi me
Purmahan raahguzaaron kaa Khayaal aayaa hai
Saaqi-o-baadaa nahin jaam-o-lab-e-joo bhi nahin
Tum se kahanaa thaa ki ab aankh me aansoo bhi nahin
(Akhtar ul Iman)

CHINAR SHADE by Autarmota is licensed under a Creative Commons Attribution-Noncommercial-No Derivative Works 2.5 India License.
Based on a work at http:\\autarmota.blogspot.com\.

0 comments:
Post a Comment