Hamaare shehare dil mein Ek sifaarat khaana e Jaan hai ,
Sifaarat jiss kaa Parcham diljalon Ki Aahe sozaan hai ,
Buss Ek dastoore Ishqo aashqi Jo Meer e Samaan Hai ,
Yahaan Aane Kaa raastaa koochaa e Chaak e Girebaan hai ,
yahaan Hai Roshini Tanhaa..Chiraag e Chashm e Purnumm ki ,
Yahaan Aao To Khull Jaayengi Raahein Saare Aallum Ki ,
yahaan kashmir bhi Dhaka bhi hai kaashi bhi Kaaba Bhi ,
Zameen kaa Husn bhi Aur Jalwaa e Arshe Muaalaa Bhi ,
Yahaan jhelum Bhi dejlah bhi hai danube O Gangaa Bhi,
Aqab mein Door tak Failaa Huvaa Dasht e tamanaa Bhi,
Sarod e manzil o Maa kibriyaa Uss ka taranaa Hai ,
Haqeeqat hai Faqat Insaan baaki sab Fasanaa !!!
( ali Sardar jafri )

CHINAR SHADE by Autarmota is licensed under a Creative Commons Attribution-Noncommercial-No Derivative Works 2.5 India License.
Based on a work at http:\\autarmota.blogspot.com\.

0 comments:
Post a Comment