Hijaabon mein bhi Tuu Numaayaan Numaayaan.
Farozaan farozaan Darakhshaan Darakhshaan.
Tere zulf-o-rukh ka badal Dhuunddtaa hunn,
shabistaan shabistaan charaaghaan charaaghaan .
Khat-o-khaal ki Tere parchhaaiyaan hain,
Khayaabaan Khayaabaan Gulistaan Gulistaan.
Yahi jazb-e-pinhaan ki hai Daad kaafi,
Chale Aao mujh tak gurezaan gurezaan.
Firaq Gorakhpuri

CHINAR SHADE by Autarmota is licensed under a Creative Commons Attribution-Noncommercial-No Derivative Works 2.5 India License.
Based on a work at http:\\autarmota.blogspot.com\.

0 comments:
Post a Comment